dil ko duniya se baahar karta hai naadaN,
jeest ki qayaamat ka saamaN karta hai nadaaN.
kisi ki muntazir pari ke khayaalon maiN,
2 G ke gotale ko bhoola karta hai nadaaN.
vo bekhayal bareha tere qareb-e-lab raha par ab bhi
e dil tu ek bosa-e-paa ki du'aa kiya karta hai nadaaN.
gar maut bhi ek aaghaj-e-naie jindagi hai to e dil
dauran-e- vasl hume itna beqarar kuN karta hai nadaaN.
raag- e -gham- e -majlum jo taar pe cheda maine
lahoo koie nahi, phir ye paani kuN ubalaa karta hai nadaaN.
man chi yuva,
ReplyDeletekaalaateet yauvan ka dhani,
zehan thaka,
ummeed ki saleeb par deh rahi sada tani.
beshak maiyaar-e-sukhan tay karte haiN Ghalib-o-Meer,
ReplyDeletelekin nisbat-e-dard-e-aam hai jinhe vo haiN Faiz-o-Najeer.