Monday, November 22, 2010

aamir ki yaad

hume kya ki Aamir ko khalati hai bahoot Papa ki kami,
ye chashma-e-khushk hai, inme kisi tarah bhi aati nahi nami

Tuesday, November 16, 2010

Gazal : NadaaN

dil  ko duniya  se  baahar  karta  hai  naadaN,
jeest ki qayaamat ka saamaN karta hai nadaaN.
kisi  ki  muntazir  pari  ke  khayaalon  maiN,
2 G  ke gotale  ko  bhoola  karta  hai  nadaaN.
vo bekhayal bareha tere qareb-e-lab raha par ab bhi
e dil tu ek bosa-e-paa ki du'aa kiya karta hai nadaaN.
gar maut bhi ek aaghaj-e-naie jindagi hai to e dil
dauran-e- vasl hume itna beqarar kuN karta hai nadaaN.
raag- e -gham- e -majlum jo taar  pe  cheda  maine
 lahoo koie nahi, phir ye paani kuN ubalaa karta hai nadaaN.